Tuesday, July 14, 2009

composed by pranoo

woh yaad dhundhti hai
awaaz dhundti hai
jis mahal ke kinaro mein goonjte hai woh lavaz
unke thikane meri fariyaad dhundti hai

kin gaalion kin shehero mein talab dikhate
is ruh ki kin tasveeron se tadap bhujate
yeh sheher nahi hai mera
yeh jag nahi hai mera
yeh ganga jo nahi meri
kis nadikinare se hum yeh pyaas bhujate

kuch thahar sa gaya hai man mein
kuch ruk sa gaya aadmi mein
jhansi aur shivaji ke vansh yeh log
kyun dhoodhe victoria ka pyaar

kuch ghum gaya hai vyakti mein
kuch thum sa gaya us ruh mein
jo kabhi likte the inquilab zindabad
kyun aaj duniya jala rahe hai

en hatao mein jo asha thi
ek chingari hai dard ki
en aankhon mein jo farz tha
ek khwab hai maut ka

ruswa kar gayi hai aadmi ko insaaniyat
ruswa kar gaya aadmi bhi aapni niyat
kya baccha hai duniya mein
woh jo kabhi likhte the inquilab zindabad
aaj woh bhi jaala chuke hai.



NICE POETRY

No comments: